Urdu Shayari Ghazals

ROMANTIC GHAZALS - SAD GHAZALS - EMOTIONAL GHAZALS - MOHABBAT GHAZALS - ZINDAGI GHAZALS - PYAAR BHARI SHAYARI - UDAAS SHAYARI - EHSAAS BHARI SHAYARI

Monday, May 3, 2010

Iss Gulistaane-Jahan Mein

Posted by Blog Professional

iss gulistaane-jahan mein kya gule-ishrit nahin
sair ke kaabil hai ye par sair ki fursat nahin

kehte hain mar jaayein gar chhut jaayein gham ke haath se
par tirey gham se humein marne ki bhi fursat nahin

dil woh kya jisko nahin teri tamanna-ae-visaal
chashm woh kya jisko teri deed ki hasrat nahin

khaak hokar bhi falak ke haath se humko karaar
ek saa-att misley-reygey-sheesha-ae-saa-att nahin

'zouk' iss surat-kade mein hain hazaaron sooratein
koi soorat apne soorat-gar ki be-soorat nahin



इस गुलिस्ताने-जहाँ में क्या गुले-इश्रित नहीं
सैर के क़ाबिल है ये पर सैर की फ़ुरसत नहीं

कहते हैं मर जाएँ गर छुट जाएँ ग़म के हाथ से
पर तिरे ग़म से हमें मरने की भी फ़ुरसत नहीं

दिल वो क्या जिसको नहीं तेरी तमन्ना--विसाल
चश्म वो क्या जिसको तेरी दीद की हसरत नहीं

ख़ाक होकर भी फ़लक के हाथ से हमको क़रार
एक साअत मिस्ले-रेगे-शीशा--साअत नहीं

'ज़ौक' इस सुरत-कदे में हैं हज़ारों सूरतें
कोई सूरत अपने सूरत-गर की बे-सूरत नहीं



Glossary:
gule-ishrit : aishwarya roopi phool / fortune type flower
visaal : milan / meeting
chashm : aankh / eyes
deed : darshan / sight
saa-att : shan / moment
misley-reygey-sheesha-ae-saa-att : sheeshey ki retghadi ki ret ki tarah / like sand of an hour glass
surat-kade mein : shaklon ke ghar mein, sansaar mein / in the world
soorat-gar ki : bhagwaan ki / of god

0 comments: