Urdu Shayari Ghazals

ROMANTIC GHAZALS - SAD GHAZALS - EMOTIONAL GHAZALS - MOHABBAT GHAZALS - ZINDAGI GHAZALS - PYAAR BHARI SHAYARI - UDAAS SHAYARI - EHSAAS BHARI SHAYARI

Saturday, June 12, 2010

Chehron Kii Bheed-Bhaad Hai

Posted by Blog Professional

chehron kii bheed-bhaad hai, soorat kahin nahin
baaton ke inqalaab kii raahat kahin nahin

kutta mara kii aadmi, dange mein kaun tha?
samvedna kii laash par hairat kahin nahin

kya pochhta hai husn kii lapton ka bhaav-taav
mandii mein bhookh-pyaas kii asmat kahin nahin

khanjar ka naach naachna, dilkash to khoob hai
meethee chhuri ke dil mein muravvat kahin nahin

rishte param pavitr hain fislan se peshtar
daldalnasheen chaand mein jannat kahin nahin

tarse gunaah-ras ko usoolon ke devta
kudrat kii dillagi mein shararat kahin nahin

agyey, muktibodh, niraalaa ke naam par
kavita gali gali hai, viraasat kahin nahin

karta hai shayri usey shaayar to bol yaar,
theka hai uska chaand kii chahat kahin nahin




चेहरों की भीड़-भाड़ है, सूरत कहीं नहीं
बातों के इंक़लाब की राहत कहीं नहीं

कुत्ता मरा की आदमी, दंगे में कौन था?
संवेदना की लाश पर हैरत कहीं नहीं

क्या पूछता है हुस्न कि लपटों का भाव-ताव
मंडी में भूख-प्यास की अस्मत कहीं नहीं

खंजर का नाच नाचना, दिलकश तो खूब है
मीठी छुरी के दिल में मुरव्वत कहीं नहीं

रिश्ते परम पवित्र हैं फिसलन से पेश्तर
दलदलनशीन चांद में जन्नत कहीं नहीं

तरसे गुनाह-रस को उसूलों के देवता
कुदरत की दिल्लगी में शरारत कहीं नहीं

अज्ञेय, मुक्तिबोध, निराला के नाम पर
कविता गली गली है, विरासत कहीं नहीं

करता है शायरी उसे शायर तो बोल यार,
ठेका है उसका चांद की चाहत कहीं नहीं




Glossary:
inqalaab: kranti / revolution
asmat: ijjat / respect
muravvat: lihaaj / consideration
peshtar: pehle, aage / before
daldalnasheen: ubadkhabad / rough
jannat: swarg / heaven

0 comments: