Urdu Shayari Ghazals

ROMANTIC GHAZALS - SAD GHAZALS - EMOTIONAL GHAZALS - MOHABBAT GHAZALS - ZINDAGI GHAZALS - PYAAR BHARI SHAYARI - UDAAS SHAYARI - EHSAAS BHARI SHAYARI

Saturday, June 26, 2010

Mareeze-Muhabbat Unhi Ka Fasana

Posted by Blog Professional

mareeze-muhabbat unhi ka fasana
sunata raha dum nikalte-nikalte

magar zikre shaame-alam jab bhi aaya
chiraage-seher bujh gaya jalte-jalte

iraada tha tarke-muhabbat ka lekin
farebe tabassum mein phir aa gaye hum

abhi khake thokar sambhalne n paaye
ki phir khaai thokar sambhalte-sambhalte

tumhe dil lagaane ko kisne kahaa
bahal jaayega dil bahalte-bahalte

wo mehmaa bhi to kab tak hamaare
hui shamaa gul aur doobe sitaare

'kamar' iss kadar unko jaldi thi ghar ki
wo ghar chal diye chaandni dhalte-dhalte




मरीज़े-मुहब्बत उन्ही का फ़साना
सुनाता रहा दम निकलते-निकलते

मगर ज़िक्रे शामे-अलम जब भी आया
चिराग़े-सहर बुझ गया जलते-जलते

इरादा था तर्के-मुहब्बत का लेकिन
फ़रेबे तबस्सुम में फिर आ गए हम

अभी खाके ठोकर संभलने न पाए
कि फिर खाई ठोकर संभलते-संभलते

तुम्हें दिल लगाने को किसने कहा
बहल जाएगा दिल बहलते-बहलते

वो मेहमा भी तो कब तक हमारे
हुई शमा गुल और डूबे सितारे

'कमर' इस क़दर उनको जल्दी थी घर की
वो घर चल दिए चांदनी ढलते-ढलते




Glossary:
fasana: kahani / story
shaame-alam: dukh ki ghadi / moment of sorrow
chiraage-seher: subah ka chiraag / lamp of morning
tarke-muhabbat: prem samaapti / end of love
farebe: chhalava, dhokha / betray, deceive
tabassum: muskaan / smile
mehmaa: mehmaan / guest
shamaa: deeya, mombatti / candle
gul: bujhna / extinguish, blow out

0 comments: