Urdu Shayari Ghazals

ROMANTIC GHAZALS - SAD GHAZALS - EMOTIONAL GHAZALS - MOHABBAT GHAZALS - ZINDAGI GHAZALS - PYAAR BHARI SHAYARI - UDAAS SHAYARI - EHSAAS BHARI SHAYARI

Saturday, July 24, 2010

Gandhi Ho Yaa Ghalib Ho

Posted by Blog Professional

gandhi ho yaa ghalib ho
khatm hua donon ka jashn
aao, inhein ab kar dein dafn

khatm karo tehzeeb kii baat, band karo culchar ka shor
satya, ahinsa sab bakwaas, tum bhi kaatil hum bhi chor

gandhi ho yaa ghalib ho, donon ka kya kaam yahan
ab ke baras katl hui, ek kii shiksha, ik kii zabaan

khatm hua donon ka jashn
aao, inhein ab kar dein dafn




गांधी हो या ग़ालिब हो
ख़त्म हुआ दोनों का जशन
आओ, इन्हें अब कर दें दफ्न

ख़त्म करो तहज़ीब की बात, बंद करो कल्चर का शोर
सत्य, अहिंसा सब बकवास, तुम भी क़ातिल हम भी चोर

गांधी हो या ग़ालिब हो, दोनों का क्या काम यहां
अब के बरस क़त्ल हुई, एक की शिक्षा, इक की ज़बां

ख़त्म हुआ दोनों का जशन
आओ, इन्हें अब कर दें दफ्न

Saturday, July 17, 2010

Ho Sakegi Ab Guzar Lagta Nahin

Posted by Blog Professional

ho sakegi ab guzar lagta nahin
aur bhi jeete magar lagta nahin

tod daali maine har deewar ab
ghar ke jaisa mera ghar lagta nahin

hum hakikat hain, tadap hain, dard hain
koi aayega idhar lagta nahin

maar daalin usne saari chahtein
usko ab koi bhi dar lagta nahin

dost apna hai siyasat ka mareez
ho dawaa kuch kaargar lagta nahin




हो सकेगी अब गुज़र लगता नहीं
और भी जीते मगर लगता नहीं

तोड़ डाली मैंने हर दीवार अब
घर के जैसा मेरा घर लगता नहीं

हम हकीकत हैं, तड़प हैं, दर्द हैं
कोई आएगा इधर लगता नहीं

मार डालीं उसने सारी चाहतें
उसको अब कोई भी डर लगता नहीं

दोस्त अपना है सियासत का मरीज़
हो दवा कुछ कारगर लगता नहीं

Friday, July 9, 2010

Ikkes Baras Guzre Aazaadi

Posted by Blog Professional

ikkees baras guzre aazaadi e kaamil ko
tab jaake kahin humko Ghalib ka khyaal aayaa
turbat hai kahan uski maskan tha kahan uska
ab apne sukhan-parvar zeheno mein sawaal aayaa

sau saal se jo turbat chaadar ko tarasti thi
ab uspe akeedat ke phoolon ki numaaish hai
urdu ke taaluk se kuch bhed nahin khulta
yeh jashn, yeh hungama, khidmat hai ki saajish hai?

yeh jashn mubaarak ho par yeh bhi sadaakat hai
hum log hakeekat ke ehsaas se aari hain
Gandhi ho ki Ghalib ho, insaaf ki nazaron mein
hum dono ke kaatil hain, dono ke pujaari hain




इक्कीस बरस गुज़रे आज़ादी ए कामिल को
तब जाके कहीं हमको ग़ालिब का ख़्याल आया
तुर्बत है कहां उसकी मस्कन था कहां उसका
अब अपने सुखन-परवर ज़हनो में सवाल आया

सौ साल से जो तुर्बत चादर को तरसती थी
अब उसपे अकीदत के फूलों की नुमाइश है
उर्दू के तअलुक से कुछ भेद नहीं खुलता
यह जशन , यह हंगामा, ख़िदमत है की साजिश है?

यह जशन मुबारक हो पर यह भी सदाकत है
हम लोग हकीकत के एहसास से आरी हैं
गांधी हो की ग़ालिब हो, इंसाफ की नज़रों में
हम दोनों के कातिल हैं, दोनों के पुजारी हैं



Glossary:
aazaadi e kaamil: purn swatantrata / total independence
turbat: kabra / grave
maskan: ghar / home
sukhan-parvar: kavye ko protsahan dene wale dimag / minds encouraging poetry
sadaakat: sach / true
aari: lajjit / ashamed

Sunday, July 4, 2010

Kyon Phir Rahe Ho Kaif

Posted by Blog Professional

kyon phir rahe ho kaif ye khatre ka ghar liye
ye kaanch ka shareer ye kagaz ka sar liye

shole nikal rahe hain gulaabon ke jism se
titli n ja karib ye resham ke par liye

jaane bahaar naam hai lekin ye kaam hai
kaliyaan taraash leen to kabhi gul katar liye

ranjhaa bane hain, kais bane, kohkan bane
humne kisi ke vaaste sab roop dhar liye

naa meharbaane shahar ne thukra diya mujhe
main phir raha hun apna makaan dar-b-dar liye




क्यों फिर रहे हो कैफ़ ये ख़तरे का घर लिए
ये कांच का शरीर ये काग़ज़ का सर लिए

शोले निकल रहे हैं गुलाबों के जिस्म से
तितली न जा क़रीब ये रेशम के पर लिए

जाने बहार नाम है लेकिन ये काम है
कलियां तराश लीं तो कभी गुल क़तर लिए

रांझा बने हैं, कैस बने, कोहकन बने
हमने किसी के वास्ते सब रूप धर लिए

ना मेहरबाने शहर ने ठुकरा दिया मुझे
मैं फिर रहा हूं अपना मकां दर-ब-दर लिए




Glossary:
ranjhaa: heer se prem karne wala premi / lover or heer
kohkan: pahad kaatne wala, farhaad / the one who cuts mountain, farhaad
naa meharbaane: nirdayi / heartless