Urdu Shayari Ghazals

ROMANTIC GHAZALS - SAD GHAZALS - EMOTIONAL GHAZALS - MOHABBAT GHAZALS - ZINDAGI GHAZALS - PYAAR BHARI SHAYARI - UDAAS SHAYARI - EHSAAS BHARI SHAYARI

Friday, July 9, 2010

Ikkes Baras Guzre Aazaadi

Posted by Blog Professional

ikkees baras guzre aazaadi e kaamil ko
tab jaake kahin humko Ghalib ka khyaal aayaa
turbat hai kahan uski maskan tha kahan uska
ab apne sukhan-parvar zeheno mein sawaal aayaa

sau saal se jo turbat chaadar ko tarasti thi
ab uspe akeedat ke phoolon ki numaaish hai
urdu ke taaluk se kuch bhed nahin khulta
yeh jashn, yeh hungama, khidmat hai ki saajish hai?

yeh jashn mubaarak ho par yeh bhi sadaakat hai
hum log hakeekat ke ehsaas se aari hain
Gandhi ho ki Ghalib ho, insaaf ki nazaron mein
hum dono ke kaatil hain, dono ke pujaari hain




इक्कीस बरस गुज़रे आज़ादी ए कामिल को
तब जाके कहीं हमको ग़ालिब का ख़्याल आया
तुर्बत है कहां उसकी मस्कन था कहां उसका
अब अपने सुखन-परवर ज़हनो में सवाल आया

सौ साल से जो तुर्बत चादर को तरसती थी
अब उसपे अकीदत के फूलों की नुमाइश है
उर्दू के तअलुक से कुछ भेद नहीं खुलता
यह जशन , यह हंगामा, ख़िदमत है की साजिश है?

यह जशन मुबारक हो पर यह भी सदाकत है
हम लोग हकीकत के एहसास से आरी हैं
गांधी हो की ग़ालिब हो, इंसाफ की नज़रों में
हम दोनों के कातिल हैं, दोनों के पुजारी हैं



Glossary:
aazaadi e kaamil: purn swatantrata / total independence
turbat: kabra / grave
maskan: ghar / home
sukhan-parvar: kavye ko protsahan dene wale dimag / minds encouraging poetry
sadaakat: sach / true
aari: lajjit / ashamed

0 comments: