Urdu Shayari Ghazals

ROMANTIC GHAZALS - SAD GHAZALS - EMOTIONAL GHAZALS - MOHABBAT GHAZALS - ZINDAGI GHAZALS - PYAAR BHARI SHAYARI - UDAAS SHAYARI - EHSAAS BHARI SHAYARI

Monday, August 23, 2010

Maulavi Pandit Pareshaan Aadmi

Posted by Blog Professional

maulavi pandit pareshaan aadmi haiwaan hai
mulk mein chaaron taraf insaaniyat hairaan hai

kagazon ke desh ka naksha badalta ja raha
kis kadar tukdon mein bikhra apna hindustan hai

faaslaa badhta nazar aane laga hai kis tarah
phir nai ik jung kii khatir saja maidaan hai

dab rahe aatank mein sab log isspanji bane
kaise keh dein rehnuma haalaat se anjaan hain

sarfaroshii kii jinhonein unkii yaadein reh gayin
aasnon par we hain jinkii kursiyaan iimaan hain

kanpati deewar udte calendar batla rahe
saathiyo! is aur koi aa raha toofaan hai



मौलवी पंडित परेशां आदमी हैवान है
मुल्क़ में चारों तरफ़ इंसानियत हैरान है

कागज़ों के देश का नक्शा बदलता जा रहा
किस क़दर टुकड़ों में बिखरा अपना हिंदुस्तान है

फ़ासला बढ़ता नज़र आने लगा है किस तरह
फिर नई इक जंग की ख़ातिर सजा मैदान है

दब रहे आतंक में सब लोग इस्पंजी बने
कैसे कह दें रहनुमा हालात से अनजान हैं

सरफ़रोशी की जिन्होंने उनकी यादें रह गईं
आसनों पर वे हैं जिनकी कुर्सियां ईमान हैं

कांपती दीवार उड़ते कलेंडर बतला रहे
साथियो! इस ओर कोई आ रहा तूफ़ान है




Glossary:
haiwaan: jaanwar, pashu / animal
ispanji: rubber ke / spongy
rehnuma: path pradarshak / guide, leader
sarfaroshii: jaan ki baazi lagana / fervor

0 comments: