Urdu Shayari Ghazals

ROMANTIC GHAZALS - SAD GHAZALS - EMOTIONAL GHAZALS - MOHABBAT GHAZALS - ZINDAGI GHAZALS - PYAAR BHARI SHAYARI - UDAAS SHAYARI - EHSAAS BHARI SHAYARI

Sunday, August 15, 2010

Wehshate-Dil Thi Kahan Kam Ki

Posted by Blog Professional

wehshate-dil thi kahan kam ki badhane aaye
kisliye yaad humein beete zamaane aaye

dasht khaali hue, zanjeer hue deewane
thi khata itni ki kyon khaak udaane aaye

kya azab rasm hai, dastoor bhi kya khoob hai ye
aag bhadkaye koi, koi bujhane aaye

vakt kii baat hai ye bhi kii makaa khwabon ka
jisne taameer kiya ho wahi dhahane aaye

koi aasaan nahi tarke-talluk karna
bazme-agiyaar mein yaaron ko bhulaane aaye

naksh kuchh ab bhi sare-jaad-ae-dil baaki hain
tez aandhi se kaho inko mitaane aaye



वहशते-दिल थी कहां कम कि बढ़ाने आए
किसलिए याद हमें बीते ज़माने आए

दश्त ख़ाली हुए, ज़ंजीर हुए दीवाने
थी ख़ता इतनी कि क्यों ख़ाक उड़ाने आए

क्या अज़ब रस्म है, दस्तूर भी क्या ख़ूब है ये
आग भड़काए कोई, कोई बुझाने आए

वक़्त की बात है ये भी की मका ख्वाबों का
जिसने तामीर किया हो वही ढहाने आए

कोई आसान नहीं तर्के-तअल्लुक करना
बज़्मे-अगियार में यारों को भुलाने आए

नक्श कुछ अब भी सरे-जाद-ए-दिल बाक़ी हैं
तेज़ आंधी से कहो इनको मिटाने आए



Glossary:
dasht: registaan / desert
zanjeer hue: bandh gaye / got tied
tarke-talluk: sambandh vichhed / estrangement
bazme-agiyaar: dushmano kii mehfil / company of enemies
naksh: chinah / sign
sare-jaad-ae-dil: dil ki rah par / on the way of heart

0 comments: