Urdu Shayari Ghazals

ROMANTIC GHAZALS - SAD GHAZALS - EMOTIONAL GHAZALS - MOHABBAT GHAZALS - ZINDAGI GHAZALS - PYAAR BHARI SHAYARI - UDAAS SHAYARI - EHSAAS BHARI SHAYARI

Monday, September 27, 2010

Padaav Aaye Kai Ek Ghar Nahin Aayaa

Posted by Blog Professional

padaav aaye kai ek ghar nahin aayaa
ki raas ab ke bhi humko safar nahin aayaa

kiya tha khalk ajab aasmaan aankhon ne
kahaan kaa chaand, sitaaraa nazar nahin aayaa

jo ek baar gayaa sabz paaniyon kii taraf
sunaa gayaa hai kabhii laut kar nahin aayaa

chiraag jalte hawaon kii sarparastii mein
hamare logo! tumhein ye hunar nahin aayaa

bhulaake tujhko khajil hote aur kya hota
bhalaa hua ki dua mein asar nahin aayaa




पड़ाव आए कई एक घर नहीं आया
कि रास अब के भी हमको सफ़र नहीं आया

किया था ख़ल्क अजब आसमान आंखों ने
कहां का चांद, सितारा नज़र नहीं आया

जो एक बार गया सब्ज़ पानियों की तरफ
सुना गया है कभी लौट कर नहीं आया

चिराग़ जलते हवाओं की सरपरस्ती में
हमारे लोगो! तुम्हें ये हुनर नहीं आया

भुलाके तुझको ख़जिल होते और क्या होता
भला हुआ कि दुआ में असर नहीं आया





Glossary:
khalk: utpann, paidaaish, paidaa hona / raise, arise
sabz: hara rang, hari ghaas, hariyaali / green color, greenery
khajil: lajjit, sharminda / abashed, apologetic

Friday, September 10, 2010

Dil Mein Teri Yaad Bahut Hai

Posted by Blog Professional

dil mein teri yaad bahut hai
ye bastii aabaad bahut hai

jiska nasheman seharaa mein hai
wo panchhii aazaad nahin hai

main hii nahin khush usko paakar
uska bhii dil shaad bahut hai

aaj kaa insaan sabkuch paakar
shaad hai kam, naashaad bahut hai

bazme-sukhan kii aaraaish ko
shahar mein ik ustaad bahut hai

raham nahin aataa zaalim ko
vakate ravaan jallaad bahut hai




दिल में तेरी याद बहुत है
ये बस्ती आबाद बहुत है

जिसका नशेमन सेहरा में है
वो पंछी आज़ाद नहीं है

मैं ही नहीं ख़ुश उसको पाकर
उसका भी दिल शाद बहुत है

आज का इंसा सबकुछ पाकर
शाद है कम, नाशाद बहुत है

बज़्मे-सुखन की आराइश को
शहर में इक उस्ताद बहुत है

रहम नहीं आता ज़ालिम को
वकते रवां जल्लाद बहुत है




Glossary:
nasheman: ghosla / nest
seharaa: jungle / forest
shaad: khush / happy
naashaad: naakhush / unhappy
sukhan: sher, shaayari / poetry
aaraaish: sajaawat / decoration
vakate ravaan: samay / time

Thursday, September 2, 2010

Ishrate-Katra Hai Dariya Mein

Posted by Blog Professional

ishrate-katra hai dariya mein fanaa ho jaanaa
dard ka had se guzarna hai dvaa ho jaanaa

tujhse kismat mein meri soorate-kufle-abajad
tha likha baat ke bante he juda ho jaanaa

ab zafaa se bhi hain maharoom ham alla-alla
is kadar dushmane-arbaabe-wafaa ho jaanaa

hai mujhe abre-bahaari ka baras kar khulna
rote-rote ghame-furkat mein fanaa ho jaanaa

bakhshe hai jalwa-a-gul jauke-tamaashaa 'ghalib'
chashm ko chaahiye har rang mein waa ho jaanaa



इशरते-कतरा है दरिया में फ़ना हो जाना
दर्द का हद से गुज़रना है दवा हो जाना

तुझसे क़िस्मत में मेरी सूरते-कुफ़्ले-अबजद
था लिखा बात के बनते ही जुदा हो जाना

अब ज़फा से भी हैं महरूम हम अल्ला-अल्ला
इस कदर दुश्मने-अरबाबे-वफ़ा हो जाना

है मुझे अब्रे-बहारी का बरस कर खुलना
रोते-रोते गमे-फ़ुरकत में फना हो जाना

बख्शे है जलवा-ए-गुल जौके-तमाशा 'ग़ालिब'
चश्म को चाहिए हर रंग में वा हो जाना




Glossary:

ishrate-katra: boond kii safalta, sukh / drop of success, happiness
soorate-kufle-abajad: aksharon ko milaakar banaya shabd, jisse taala khul jata hai / word formed by combining letters, which opens the lock
dushmane-arbaabe-wafaa: wafaadaron ke aise shatru jinhe atyaachaar ke yogya bhi na samjhaa jaaye / enemies of such loyal people which are not even worth torture
abre-bahaari: basant ritu kaa baadal / monsoon cloud
ghame-furkat: judaai ka dukh / pain of separation
fanaa: maut, barbaad / death, ruined, devour
jauke-tamaashaa: mazaak, rasaanubhav / jest
chashm: aankh / eye