Urdu Shayari Ghazals

ROMANTIC GHAZALS - SAD GHAZALS - EMOTIONAL GHAZALS - MOHABBAT GHAZALS - ZINDAGI GHAZALS - PYAAR BHARI SHAYARI - UDAAS SHAYARI - EHSAAS BHARI SHAYARI

Monday, September 27, 2010

Padaav Aaye Kai Ek Ghar Nahin Aayaa

Posted by Blog Professional

padaav aaye kai ek ghar nahin aayaa
ki raas ab ke bhi humko safar nahin aayaa

kiya tha khalk ajab aasmaan aankhon ne
kahaan kaa chaand, sitaaraa nazar nahin aayaa

jo ek baar gayaa sabz paaniyon kii taraf
sunaa gayaa hai kabhii laut kar nahin aayaa

chiraag jalte hawaon kii sarparastii mein
hamare logo! tumhein ye hunar nahin aayaa

bhulaake tujhko khajil hote aur kya hota
bhalaa hua ki dua mein asar nahin aayaa




पड़ाव आए कई एक घर नहीं आया
कि रास अब के भी हमको सफ़र नहीं आया

किया था ख़ल्क अजब आसमान आंखों ने
कहां का चांद, सितारा नज़र नहीं आया

जो एक बार गया सब्ज़ पानियों की तरफ
सुना गया है कभी लौट कर नहीं आया

चिराग़ जलते हवाओं की सरपरस्ती में
हमारे लोगो! तुम्हें ये हुनर नहीं आया

भुलाके तुझको ख़जिल होते और क्या होता
भला हुआ कि दुआ में असर नहीं आया





Glossary:
khalk: utpann, paidaaish, paidaa hona / raise, arise
sabz: hara rang, hari ghaas, hariyaali / green color, greenery
khajil: lajjit, sharminda / abashed, apologetic

0 comments: