Urdu Shayari Ghazals

ROMANTIC GHAZALS - SAD GHAZALS - EMOTIONAL GHAZALS - MOHABBAT GHAZALS - ZINDAGI GHAZALS - PYAAR BHARI SHAYARI - UDAAS SHAYARI - EHSAAS BHARI SHAYARI

Tuesday, February 1, 2011

Shaam Ka Waqt Hai Shaakhon Ko

Posted by Blog Professional

shaam kaa waqt hai shaakhon ko hilaataa kyun hai
tu thake-maande parindon ko udaataa kyun hai

waqt ko kaun bhalaa rok sakaa hai pagle
suiiyaan ghadiyon kii tu peechhe ghumaataa kyun hai

swaad kaisaa hai paseene kaa, ye majdur se puchh
chhanv mein baith ke andaaz lagaataa kyun hai

mujhko seene se lagaane mein hai tauheen agar
dostii ke liye phir haath badhaataa kyun hai

pyaar ke roop hain sab, tyaag-tapasyaa-puja
inmein antar kaa koi prashan uthaataa kyun hai

muskaraanaa hai mere honthon kii aadat mein shumaar
iskaa matlab mere sukh-dukh se lagaataa kyun hai

dekhnaa chain se sona na kabhii hoga nasiib
khwaab kii tu koi tasviir banaataa kyun hai



शाम का वक़्त है शाखों को हिलाता क्यों है
तू थके-मांदे परिंदों को उड़ाता क्यों है

वक़्त को कौन भला रोक सका है पगले
सुईयां घड़ियों की तू पीछे घुमाता क्यों है

स्वाद कैसा है पसीने का, ये मजदूर से पूछ
छांव में बैठ के अंदाज़ लगाता क्यों है

मुझको सीने से लगाने में है तौहीन अगर
दोस्ती के लिए फिर हाथ बढ़ाता क्यों है

प्यार के रूप हैं सब, त्याग-तपस्या-पूजा
इनमें अंतर का कोई प्रशन उठाता क्यों है

मुस्कराना है मेरे होंठों की आदत में शुमार
इसका मतलब मेरे सुख-दुख से लगाता क्यों है

देखना चैन से सोना न कभी होगा नसीब
ख़्वाब की तू कोई तस्वीर बनाता क्यों है

2 comments:

Meha said...

very nice ghazal. have u written it? am posting it in my poetry group (called April is the cruelest month poetry group) on facebook giving your link. Hope you are ok with it..if not let me know and i will remove it.

Mehreen Kashif said...

Waqt K Agay Sab Nay..

Qadam Qadam Pe Pehra Hai Khamosh Raho
Sach Kehne Mein Khatra Hai Khamosh Raho

Kis Ne Kis K Ghar Ko Aag Lagai
Be Shak Tum Ne Dekha Hai Khamosh Raho

Apni Apni Soch Mein Sare Galtaan Hein
Kon Kisi Ki Sunta Hai Khamosh Raho

Tum Jane Kis Daor Ki Batein Karte Ho
Piyar Mohbbat Dohka Hai Khamosh Raho

Kaan Pari Awaz Sunai Kia De Gi
Har Su Shor Barasta Hai Khamosh Raho

Apney Paoon Ki Aahat Se Darr Lagta Hai
Charo Aor Andehra Hai Khamosh Raho

Bazaro Mein Sari Chezein Mahngi Hein
Leykin Aadmi Susta Hai Khamosh Raho

Waqt K Agay Sab Ne Gutne Tek Diye
Kon Raees Wadera Hai Khamosh Raho

Urdu Shayari