Urdu Shayari Ghazals

ROMANTIC GHAZALS - SAD GHAZALS - EMOTIONAL GHAZALS - MOHABBAT GHAZALS - ZINDAGI GHAZALS - PYAAR BHARI SHAYARI - UDAAS SHAYARI - EHSAAS BHARI SHAYARI

Saturday, October 23, 2010

Zindagi Se Nibaah Karna Pada

Posted by Blog Professional

zindagi se nibaah karna pada
isliye hii gunaah karna pada

waqt aisa bhii hum pe guzra jab
aah bhar bhar ke waah karna pada

unkii mahfil mein roshni ke liye
kitnon ko aatmdaah karna pada

arth-vedi par bhaavnaao ko
aansuon se vivaah karna pada

chand geeton kii zindagi ke liye
zindagi ko tabaah karna pada



ज़िंदगी से निबाह करना पड़ा
इसलिए ही गुनाह करना पड़ा

वक़्त ऐसा भी हम पे गुज़रा जब
आह भर भर के वाह करना पड़ा

उनकी महफ़िल में रौशनी के लिए
कितनों को आत्मदाह करना पड़ा

अर्थ-वेदी पर भावनाओं को
आंसुओं से विवाह करना पड़ा

चंद गीतों की ज़िंदगी के लिए
ज़िंदगी को तबाह करना पड़ा

Monday, September 27, 2010

Padaav Aaye Kai Ek Ghar Nahin Aayaa

Posted by Blog Professional

padaav aaye kai ek ghar nahin aayaa
ki raas ab ke bhi humko safar nahin aayaa

kiya tha khalk ajab aasmaan aankhon ne
kahaan kaa chaand, sitaaraa nazar nahin aayaa

jo ek baar gayaa sabz paaniyon kii taraf
sunaa gayaa hai kabhii laut kar nahin aayaa

chiraag jalte hawaon kii sarparastii mein
hamare logo! tumhein ye hunar nahin aayaa

bhulaake tujhko khajil hote aur kya hota
bhalaa hua ki dua mein asar nahin aayaa




पड़ाव आए कई एक घर नहीं आया
कि रास अब के भी हमको सफ़र नहीं आया

किया था ख़ल्क अजब आसमान आंखों ने
कहां का चांद, सितारा नज़र नहीं आया

जो एक बार गया सब्ज़ पानियों की तरफ
सुना गया है कभी लौट कर नहीं आया

चिराग़ जलते हवाओं की सरपरस्ती में
हमारे लोगो! तुम्हें ये हुनर नहीं आया

भुलाके तुझको ख़जिल होते और क्या होता
भला हुआ कि दुआ में असर नहीं आया





Glossary:
khalk: utpann, paidaaish, paidaa hona / raise, arise
sabz: hara rang, hari ghaas, hariyaali / green color, greenery
khajil: lajjit, sharminda / abashed, apologetic