maulavi pandit pareshaan aadmi haiwaan hai
mulk mein chaaron taraf insaaniyat hairaan hai
kagazon ke desh ka naksha badalta ja raha
kis kadar tukdon mein bikhra apna hindustan hai
faaslaa badhta nazar aane laga hai kis tarah
phir nai ik jung kii khatir saja maidaan hai
dab rahe aatank mein sab log isspanji bane
kaise keh dein rehnuma haalaat se anjaan hain
sarfaroshii kii jinhonein unkii yaadein reh gayin
aasnon par we hain jinkii kursiyaan iimaan hain
kanpati deewar udte calendar batla rahe
saathiyo! is aur koi aa raha toofaan hai
मौलवी पंडित परेशां आदमी हैवान है
मुल्क़ में चारों तरफ़ इंसानियत हैरान है
कागज़ों के देश का नक्शा बदलता जा रहा
किस क़दर टुकड़ों में बिखरा अपना हिंदुस्तान है
फ़ासला बढ़ता नज़र आने लगा है किस तरह
फिर नई इक जंग की ख़ातिर सजा मैदान है
दब रहे आतंक में सब लोग इस्पंजी बने
कैसे कह दें रहनुमा हालात से अनजान हैं
सरफ़रोशी की जिन्होंने उनकी यादें रह गईं
आसनों पर वे हैं जिनकी कुर्सियां ईमान हैं
कांपती दीवार उड़ते कलेंडर बतला रहे
साथियो! इस ओर कोई आ रहा तूफ़ान है
Glossary:
haiwaan: jaanwar, pashu / animal
ispanji: rubber ke / spongy
rehnuma: path pradarshak / guide, leader
sarfaroshii: jaan ki baazi lagana / fervor
- 'Riyaaz' Ghaziyabaadi (1)
- Akbar Ellahbaadi (1)
- Bahadurshah Zafar (1)
- Basheer Badra (1)
- Chaand 'Sheri' (1)
- Disclaimer (1)
- Ghazals Online (1)
- Gopal Das 'Neeraj' (1)
- Hasti (1)
- Hindi Shayari (1)
- K.K.Singh 'Mayank' Akbarabaadi (1)
- Kaif Bhopali (1)
- Kamar Jalalabaadi (1)
- Khwaja Haider Ali 'Aatish' (1)
- Krishna Bihaari Noor (1)
- Krishna Kumar 'Naaz' (1)
- Kunwar Akhlaak Mohammad Khan urf Seheryaar (1)
- Kunwar Akhlaak Muhammad Saharyaar (1)
- Lakshman (1)
- Madan Mohan Upendra (1)
- Maikash Ajmeri (1)
- Meena Kumaari (1)
- Mirza Daag (1)
- Mirza Daag Dehelvi (1)
- Mirza Ghalib (2)
- Mohammad Ibrahim Zouk (1)
- Parveen Shaakir (1)
- Privacy Policy (1)
- Ram Meshram (1)
- Saahir Hoshiyaarpuri (1)
- Saahir Ludhianvi (1)
- Sad Ghazals (1)
- Sahir Ludhianvi (1)
- Shakeel Badayuni (2)
- Sheen Kaaf 'Nizaam' (1)
- Urdu Ghazal (2)
Followers
Blog Archive
Monday, August 23, 2010
Sunday, August 15, 2010
wehshate-dil thi kahan kam ki badhane aaye
kisliye yaad humein beete zamaane aaye
dasht khaali hue, zanjeer hue deewane
thi khata itni ki kyon khaak udaane aaye
kya azab rasm hai, dastoor bhi kya khoob hai ye
aag bhadkaye koi, koi bujhane aaye
vakt kii baat hai ye bhi kii makaa khwabon ka
jisne taameer kiya ho wahi dhahane aaye
koi aasaan nahi tarke-talluk karna
bazme-agiyaar mein yaaron ko bhulaane aaye
naksh kuchh ab bhi sare-jaad-ae-dil baaki hain
tez aandhi se kaho inko mitaane aaye
वहशते-दिल थी कहां कम कि बढ़ाने आए
किसलिए याद हमें बीते ज़माने आए
दश्त ख़ाली हुए, ज़ंजीर हुए दीवाने
थी ख़ता इतनी कि क्यों ख़ाक उड़ाने आए
क्या अज़ब रस्म है, दस्तूर भी क्या ख़ूब है ये
आग भड़काए कोई, कोई बुझाने आए
वक़्त की बात है ये भी की मका ख्वाबों का
जिसने तामीर किया हो वही ढहाने आए
कोई आसान नहीं तर्के-तअल्लुक करना
बज़्मे-अगियार में यारों को भुलाने आए
नक्श कुछ अब भी सरे-जाद-ए-दिल बाक़ी हैं
तेज़ आंधी से कहो इनको मिटाने आए
Glossary:
dasht: registaan / desert
zanjeer hue: bandh gaye / got tied
tarke-talluk: sambandh vichhed / estrangement
bazme-agiyaar: dushmano kii mehfil / company of enemies
naksh: chinah / sign
sare-jaad-ae-dil: dil ki rah par / on the way of heart