Urdu Shayari Ghazals

ROMANTIC GHAZALS - SAD GHAZALS - EMOTIONAL GHAZALS - MOHABBAT GHAZALS - ZINDAGI GHAZALS - PYAAR BHARI SHAYARI - UDAAS SHAYARI - EHSAAS BHARI SHAYARI

Thursday, September 2, 2010

Ishrate-Katra Hai Dariya Mein

Posted by Blog Professional

ishrate-katra hai dariya mein fanaa ho jaanaa
dard ka had se guzarna hai dvaa ho jaanaa

tujhse kismat mein meri soorate-kufle-abajad
tha likha baat ke bante he juda ho jaanaa

ab zafaa se bhi hain maharoom ham alla-alla
is kadar dushmane-arbaabe-wafaa ho jaanaa

hai mujhe abre-bahaari ka baras kar khulna
rote-rote ghame-furkat mein fanaa ho jaanaa

bakhshe hai jalwa-a-gul jauke-tamaashaa 'ghalib'
chashm ko chaahiye har rang mein waa ho jaanaa



इशरते-कतरा है दरिया में फ़ना हो जाना
दर्द का हद से गुज़रना है दवा हो जाना

तुझसे क़िस्मत में मेरी सूरते-कुफ़्ले-अबजद
था लिखा बात के बनते ही जुदा हो जाना

अब ज़फा से भी हैं महरूम हम अल्ला-अल्ला
इस कदर दुश्मने-अरबाबे-वफ़ा हो जाना

है मुझे अब्रे-बहारी का बरस कर खुलना
रोते-रोते गमे-फ़ुरकत में फना हो जाना

बख्शे है जलवा-ए-गुल जौके-तमाशा 'ग़ालिब'
चश्म को चाहिए हर रंग में वा हो जाना




Glossary:

ishrate-katra: boond kii safalta, sukh / drop of success, happiness
soorate-kufle-abajad: aksharon ko milaakar banaya shabd, jisse taala khul jata hai / word formed by combining letters, which opens the lock
dushmane-arbaabe-wafaa: wafaadaron ke aise shatru jinhe atyaachaar ke yogya bhi na samjhaa jaaye / enemies of such loyal people which are not even worth torture
abre-bahaari: basant ritu kaa baadal / monsoon cloud
ghame-furkat: judaai ka dukh / pain of separation
fanaa: maut, barbaad / death, ruined, devour
jauke-tamaashaa: mazaak, rasaanubhav / jest
chashm: aankh / eye

Monday, May 3, 2010

Rone Se Aur Ishq Mein

Posted by Blog Professional

rone se aur ishq mein bebaak ho gaye
dhoye gaye ham aise he bas paak ho gaye

kehtaa hai koun naalaa-ye-bulbul ko beasar
parde mein gul ke laakh jigar chaak ho gaye

poochhe hai kyaa vajoodo-adam ahale-shouk kaa
aap apanii aag se khaso-khaashaak ho gaye

karane gaye the usase tagaaful kaa ham gilaa
kii ek hii nigaah kii bas khaak ho gaye

is rang se uthaayii kal usane 'asad' kii laash
dushman bhii jisako dekh ke gamanaak ho gaye



रोने से और इशक़ में बेबाक हो गए
धोये गए हम ऐसे हे बस पाक हो गए

कहता है कौन नाला--बुलबुल को बेअसर
पर्दे में गुल के लाख जिगर चाक हो गए

पूछे है क्या वजूदो-अदम अहले-शौक का
आप अपनी आग से खसो-ख़ाशाक हो गए

करने गए थे उससे तगाफुल का हम गिला
की एक ही निगाह की बस ख़ाक हो गए

इस रंग से उठायी कल उसने 'असद' की लाश
दुश्मन भी जिसको देख के गमनाक हो गए



Glossary:
naalaa-ye-bulbul : bulbul ke aartnaad ko / sound of bulbul
chaak : fatna / break
vajoodo-adam ahale-shouk : aashikon ke jeevan maran ki baat kyon pochhte ho / why you ask about the life and death of a lover
khaso-khashaak : ghaasphoos / trash
tagaaful : upeksha / negligence