kyon phir rahe ho kaif ye khatre ka ghar liye
ye kaanch ka shareer ye kagaz ka sar liye
shole nikal rahe hain gulaabon ke jism se
titli n ja karib ye resham ke par liye
jaane bahaar naam hai lekin ye kaam hai
kaliyaan taraash leen to kabhi gul katar liye
ranjhaa bane hain, kais bane, kohkan bane
humne kisi ke vaaste sab roop dhar liye
naa meharbaane shahar ne thukra diya mujhe
main phir raha hun apna makaan dar-b-dar liye
क्यों फिर रहे हो कैफ़ ये ख़तरे का घर लिए
ये कांच का शरीर ये काग़ज़ का सर लिए
शोले निकल रहे हैं गुलाबों के जिस्म से
तितली न जा क़रीब ये रेशम के पर लिए
जाने बहार नाम है लेकिन ये काम है
कलियां तराश लीं तो कभी गुल क़तर लिए
रांझा बने हैं, कैस बने, कोहकन बने
हमने किसी के वास्ते सब रूप धर लिए
ना मेहरबाने शहर ने ठुकरा दिया मुझे
मैं फिर रहा हूं अपना मकां दर-ब-दर लिए
Glossary:
ranjhaa: heer se prem karne wala premi / lover or heer
kohkan: pahad kaatne wala, farhaad / the one who cuts mountain, farhaad
naa meharbaane: nirdayi / heartless
0 comments:
Post a Comment