ghamza nahi hotaa ki ishara nahi hotaa
aankh unse jo milti hai to kya kya nahi hotaa
jalwa n ho maani ka to surat ka asar kya
bulbul gul-e-tasvir ka shaydaa nahi hotaa
allah bachaaye maraz-e-ishq se dil ko
sunte hain ki ye aarzaa achcha nahi hotaa
tashbeeh tere chehre ko kya doon gul-e-tar se
hotaa hai shaghufta magar itna nahi hotaa
main nizaa mein hoon aayein to ehsaan hai unka
lekin ye samjh lein ke tamaashaa nahi hotaa
hum aah bhi karte hain to ho jaate hain badnaam
wo qatl bhi karte hain to charcha nahi hotaa
गमज़ा नहीं होता कि इशारा नहीं होता
आंख उनसे जो मिलती है तो क्या क्या नहीं होता
जलवा न हो मानी का तो सूरत का असर क्या
बुलबुल गुल-ए-तस्वीर का शयदा नहीं होता
अल्लाह बचाए मरज़-ए-इश्क़ से दिल को
सुनते हैं कि ये आरज़ा अच्छा नहीं होता
तशबीह तेरे चेहरे को क्या दूं गुल-ए-तर से
होता है शगुफ्ता मगर इतना नहीं होता
मैं निज़आ में हूं आएं तो एहसान है उनका
लेकिन ये समझ लें के तमाशा नहीं होता
हम आह भी करते हैं तो हो जाते हैं बदनाम
वो क़त्ल भी करते हैं तो चर्चा नहीं होता
Glossary:
ghamza: nakhra / tantrums, attitude
shaydaa: chahna / desire, want
maraz-e-ishq: prem rog / love disease
aarzaa: beemari / disease
tashbeeh: misaal / example
nizaa: mrityu ke kareeb / near death
0 comments:
Post a Comment