mauje-hawa se phoolon ke chehre utar gaye
gul ho gaye chiraag gharaunde bikhar gaye
pedon ko chhod kar jo ude un ka zikr kya
paaley hue bhi gairon kee chhat par utar gaye
yaadon kee rut ke aate he sab ho gaye hare
hum to samjh rahe the sabhi zakhm bhar gaye
hum jaa rahe hain tootate rishton ko jodne
deewaro-dar fikr mein kuch log ghar gaye
chalte huon ko raah mein kya yaad aa gaya
kis kee talab mein kaafile wale theher gaye
jo ho sake to ab ke bhi saagar ko laut aa
saahil ke seep svaati kee bundo se bhar gaye
ik ek se ye poochhte firte hain ab 'nizaam'
wo khwaab kya hue, wo manaazir kidhar gaye
मौजे-हवा से फूलों के चेहरे उतर गए
गुल हो गए चिराग़ घरौंदे बिखर गए
पेड़ों को छोड़ कर जो उड़े उन का ज़िक्र क्या
पाले हुए भी गैरों की छत पर उतर गए
यादों की रुत के आते ही सब हो गए हरे
हम तो समझ रहे थे सभी ज़ख्म भर गए
हम जा रहे हैं टूटते रिश्तों को जोड़ने
दीवारो-दर फ़िक्र में कुछ लोग घर गए
चलते हुओं को राह में क्या याद आ गया
किस की तलब में क़ाफिले वाले ठहर गए
जो हो सके तो अब के भी सागर को लौट आ
साहिल के सीप स्वाति की बूंदों से भर गए
इक एक से ये पूछते फिरते हैं अब 'निज़ाम'
वो ख़्वाब क्या हुए, वो मनाज़िर किधर गए
Glossary:
mauje-hawa: leher / wave
0 comments:
Post a Comment